Search Hindi SMS

Funny Poet Kabir Ke Dohe In Hindi With Meaning | Kabir Dohas

Funny Poet Kabir Ke Dohe In Hindi With Meaning | Popular And Famous Kabir Ke Dohe In Hindi With Meaning For Children.

1. Dukh Mein Simran Sab Krey Sukh Mein Krey Naa Koi
Jo Sukh Mein Sumiran Krey Dukh Kahey Ko Hoye.

Kabir Ji Kehten Hain Ki Dukh Mein Toh Bhagwan Ko Sab Yaad Krten Hain, Sukh Mein Koi Yaad Nhi Karta, Agar Sukh Mein Bhi Simran Kartey Toh Dukh Hi Nhi Hota.

2. Tinka Kabhun Naa Nindye, Jo Paanv Taley Hoye
Kabhun Udh Aankhon Padey, Pir Ghaneri Hoye.

Tinkey Ko Bhi Chhota Na Samjho Chahey Wo Aap Ke Paanv Ke Nichey Ho Kyonki Yadi Wo Udhkar Aap Ki Aankh Mein Girey Toh Kitna Kasth Deta Hai.

3. Mala Fret Jug Bhayaa, Phiraa Naa Man Ka Pher
Kar Ka Man Ka Daar Dey, Man Ka Manka Pher.

Mala Fhertey Fhertey Yug Beet Gya Tab Bhi Man Ka Kapat Door Nhi Hua Hai, Hath Ka Manka Chhor Dey, Aur Apney Man Rupi Mankey Ko Pher.