Search Hindi SMS

Global Warming Essay In Hindi | Global Warming Slogan Quotes

Short Global Warming Essay In Hindi | Some Catchy Anti Global Warming Slogan Quotes In Hindi For Kids, Grenhouse Effects Of Global Warming Essay In Hindi.

Aaj Har Vyakti Paryavaran Ki Baat Karta Hai, Pardushan Sey Bachav Ke Tarike Dhundtha Hai. Vyakti Savach Aur Pardushan Mukat Paryavaran Mein Rehne Ke Adhikaron Ke Prati Sajag Honey Laga Hai. Aur Apne Dayitvon Ko Samjhney Lga Hai. Vartman Mein Vishav Global Warming Ke Sawalon Se Jhujh Rha Hai. Ish Sawal Ka Jawab Janney Ke Liye Vishav Ke Anek Deshon Mein Vigyanikon Dwara Paryog Aur Khojen Ki Jaa Rahi Hain. Unke Anusaar Agar Ardushan Phelney Ki Raftaar Ishi Tarhan Badhti Rahi Toh Agley Do Dasak Mein Dharti Ki Ausat Tapmaan 0.3 Degree Celcius Priti Dasak Ke Dar Badhega. Yeh Bahut Chintajanak Hai.

Tapmaan Ki Ish Vridhi Sey Sarey Jiv Jantu Behaal Ho Jaaye Ge Aur Unka Jeevan Khatren Mein Pad Jaayega. Ped Podhon Mein Bhi Ishi Tarhan Ka Badlav Aaye Gaa, Sagar Ke Aash Pass Rehney Wali Abaadi Par Isha Sabsey Jayada Asar Padega. Jal Satar Upper Uthney Ke Karan Sagar Tat Par Base Jayadatar Sehar Inhi Sagron Mein Dub Jaayen Ge.

Haal Hi Mein Kuch Vigyanik Adhayan Bataten Hain Ki Jalvaayu Mein Bigaad Ka Silsila Ishi Tarahn Jaari Rha Toh Kuposhan Vishanujanit Rogon Sey Honey Wali Mauton Ki Sankhya Mein Bhari Badthotri Ho Sakti Hai. Jalvayu Parivartan Se Har Saal Lakhon Log Beemar Ho Sakte Hain. Ish Paristhithi Sey Nipatne Ke Liye Manav Ko Sachet Hona Padegaa.